Jo kasmein waadein humne khaaye aaye jaayein kuch bhi, rahenge saath,
Tumhaare mere beech na rahenge faasle jo kaha tha tumne,
Muskuraahatonke peeche chupe tere iraadon ka tha pata
Rehlunga, sehlunga, jee lunga, tere siva
Kyun? Kyunki honeko taaaaalne waala hoon mai kaun bhala.
Phir bhi mai chalaatha apni taqdeeronse karne muqaabala lekin mai muh ke bal gira par theek hai,
Haare, maare peete, phir bhi hum dheet hai,
Hazaaronbaar haara hoon phir bhi dilme umeed hai.
Mai khada hoon aayineke saamne,
Jaane woh kya dikhaayega.
Tera bhi saamna hoga khudise tu theherja, woh din jald hi aayega.
Saalon guzar gaye, sawaalonme ghutke.
Dhoondhta unke jaawab mai khudme,
Phir aayi khabar kahinse tu bhatak rahi thi kisi bhavreke jaise.
Kabhi ye daali, kabhi woh daali, abhi haali me thi koi nayi daali.
Ab ye daali daali ki jaari kahaani me baari baari Kyun tu waari waari.
Pehle daalike khushboose aati hai woh murjhaayein toh phir tu chali.
Shaayad, aayegi aisi ghadi,
Jab tum khush ho, santusht ho, par uski nazarein tehelne lagi.