LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Exes

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
You've been talking to your exes
They're not the ones for you to mess with
Tum samjhi nahi ye circumstances
Tum to kheli yahan chance pe

Last night when you hesitated
Got me thinking that you played me
Dil mera manney ko tayyar nahi
Ke ye pyaar asli pyaar nahi

Adaaon mein teri mithaas na
Tu mujhe lagey ab khaas na
Aur zyada jhooth nahi paalna
Main chala khud ko tu sambhaalna

Pyaar kiya be-khaasta
Kisi cheez ka na naaz tha
Bewafai ka libaas jo tune
Pehna rakha apne paas tha

To ab tu yeh bata
Kya yeh teri saza
Ya yeh meri hai dua
Ya yeh meri hai dua

Are you talking to your exes
I'm not fuckin' with your guest list
Baby I can't even text this
Tu hi meri death wish le le mera test phir

Bolunga main jhooth nahi
Taanay kyun bandook nahi
Finger on the trigger i'm confused
What's the truth bae

I know when your mood swings
Agar main nahi tera saqi
Gale se utrega ghoont nahi
Nasha tera kaafi

Koshish girne na dein boond koi
Khone ko nahi baaki kuch
Ye duniya mujhse rooth gayi loot gayi
Tu hai tara magar toot nahi

Pathar tera dil
Kyun samandar mein tu doob gayi
Shehr-e-dil mein tere tikta nahi hoon
Main likhta raha gaane main rukta nahi hoon

Tere main sirhane kyu dikhta nahi hoon
Tu dhoonde bahaana main uthta nahi hoon
Bhatka musafir tu hi mera ghar
Tu hi meri manzil tu hi mera darr

Main dar-badar jo tu na hoti agar
Dil mein hain baatein sab keh dein magar

To ab tu yeh bata
Kya yeh teri saza
Ya yeh meri hai dua
Ya yeh meri hai dua

Tu samajh se baahir bhai hai
Aur is dil ke andar bhi tu

Faraib mein bhi kaise farhat
Zamana sangdil hai kyun

Ab tu hai reckless talking to your exes
Don't fuckin' test me I barely pass it
I smoke and pass shit saari raat nashe

Sari baat yeh ke
Loyalty's everything bae
Tere bin kitne din katega
Tere bin zinda reh gaye
Tere bin jee to nahi sake

Dil jaley aur sar phire
I smoke trees and home rochies kill karein
Hum chill to hain bolo kitna chill karein

Hum milte hain mil ke bhi milte nahi
Yeh silsilay shuru hue the kya dil se
Main sensitive par abhi senses me nahi

When I pen this down toh pehle sansani
Ke mere dil ki rahein saari band parin
Tune haal bhula diya kal ke liye

Haath uthey hain to rab ke liye
Koi nahi mera main sab ke liye
Likhe yeh geet apne ghar ke liye

Likhne de rab umr bhar ke liye
Wo jaane mujhe meri shafqat ke liye
Na jaane mujhe mere shar ke liye

Yeh kala bani meri manzil
Main to likhta tha safar ke liye
Yeh ghar mera yeh sab mera nahi
Kyun likhun is deewaron-dar ke liye

WRITERS

Talha Anjum, Talhah Yunus, Hasan Raheem, Abdullah Kasumbi

PUBLISHERS

Lyrics © Universal Music Publishing Group

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other