LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Fana

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Teri kurbat kay maarey phirain
Pyaas bhujay na maikhaney main
Aas teri hathon ki laqeer
Se miljana main tanha haqeer
Dil ki aatish ka to poocho na
Kia sochay ye teray baarey main
Qaraar iska teri ik nazar
Saaya lay kinarey main teray

Batein karta teri sunta nai ye meri
Gardeshain la jawaab haari himmat nai
Itna parwa teri sirf mujko sahi
Sirf mujko sahi
Is tarah is tarah tum nikal jana meray haath say

Tumpe fana
Ham hain na

Na dil jala
Na dil jala


Ik arsa hua hai hamie dil ki deewaron pe tera naam pathar ki tarha tarashtey
Musawwir huye tujhe din main sawartey
Raat bhar phir kesay dekh k guzartey
Hamie dekho kesi saadgi sey hathon sey apney khud ki adatien bigartey
Phir bhi lagey koi reh gayi kami
Aik shab aur guzri tujhko nikhartey

Ab Hath main lagey koi safai nahi bachi
Wo sehai nahi bachi
Wo likhai nahi bachi
K dawa ban kr ao
Ab dawai nahi bachi
Tera sath hai gumaan main
Tanhai nahi bachi
Woah!
Mujhe aik aur waja chahiye aik saza chahiye k fana na hon
Tum ban chukey kehney ko mere liye Kya
Kay ab dartey hain hamsey Gunah na ho

Ab dil-lagi ka to dil gawa hai
Udta pirhta jo kya dil hawa hai
Mujhe pata mere dil ki to dil saza hai
Dil hi janey dil ko kya baddua hai
Hum kesay kesay marz liye bethey
Kehney ko to aik hi bs arz liye bethey
Ab ao bethey baat to kro
Hum kaunsa tumsey koi qarz liye bethe


Tumpe fana
Ham hain na
Na dil jala
Na dil jala"

WRITERS

Hasan Raheem

PUBLISHERS

Lyrics © Universal Music Publishing Group

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other