LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Tere Bina Original

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Jaana kahan
Jaana kahan
Jaana kahan
Tere bina, kuch sahi nahi
Lagta hai aise jaise mujhme hai tu kahi
Tujhko talashta main khud mein yahi kahi
Tujhko tarashta main, raabta main, aastha main
Khud se anjaan tha main, thoda pareshan tha main
Khud se hairaan tha main, thoda sa naadan tha main
Gham mein bhi shaan tha, bhram mein bhi dhyaan tha
Jo bhi anjaam tha, aage hi mukaam tha
Maanta, amaan tha main maanta
Maanta, na jaanta tha maangta
Jaanta, pehchaanta, sammaan tha
Jaanta, ab jaanta, tu jaanta
Na faramosh main, afsos main, na bojh main
Rehta hu hosh mein, josh mein aur mauj mein
Teri hi soch mein, madhosh main hu roz mein
Teri hi khoj mein, soch mein, sankoch mein
Tere bina, main khoya kahan
Kuch samjhe bina
Haan, tere bina, tere bina
Tere bina, main khoya kahan
Kuch samjhe bina
Haan, tere bina, tere bina
Jaana kahan
Jaana kahan
Teri ibaadat na mein, prarthana mein haath thaame
Teri upaasna mein, saadhna mein baat maane
Teri aaradhna mein, vaasna mein, jaagta main
Teri hi sthaapna mein, aasna mein, jaagta main
Kiye hai kaarnaame, ab bhi mera naam jaane
Kaafi hai kaarnaame, ab bhi mera kaam maane
Kabhi na haar maane, aage ho kya Ram jaane
Dete na haar aane, jo bhi hai anjaam jaane
Pehle se dedh shaane, koi na jaane yeh fasaane
Bhagi hai ed maane, aur zamaane ko dikhaane
Main likhta yeh afsaane, yeh paimaane, muskuraane
Main likhta kaafi gaane, yeh dikhaane aur sikhaane
Tere bina kuch hua nahi haasil
Tere bina kuch dua nahi kaabil
Tere bina kuch hua nahi haasil
Tere bina kuch dua nahi kaabil
Tere bina, main khoya kahan
Kuch samjhe bina
Haan, tere bina, tere bina
Tere bina, main khoya kahan
Kuch samjhe bina
Haan, tere bina, tere bina
Tere bina, main khoya kahan
Kuch samjhe bina
Haan, tere bina, tere bina
Tere bina
Jaana kahan
Jaana kahan

WRITERS

Ace aka Mumbai

PUBLISHERS

Lyrics © TalantonCore

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other