Teri aawaz me doobi jaaun
Teri roshni ke sahare mai kinare
Mere jazbaaton me bikhri jaaun
Teri har baat simat ti jaaun
Sab chura ke, ab bahaaney
Na khushi hai, na thikane
Tere har raaz me chipti jaaun
Tere sapnon me kabhi na kabhi aaun
Aasha thi jab bhool jaun tujhe
Iss rah se toh manzil meri raazi na thi
Haan, hone ko toh beet gaye arse, kyun fir bhi shikayat bachi?
Han Khud ko satane ki bhi aadat nahi
Ho sakta hai hun mai bhi shayad sahi
Ya roz ki chilla chilli mei doob gai aawaz thi
Goonj rahe sannate mei kyun dhoondti aap thi
Maafi na maangunga mai, maafi bi maange na tu
Kiska hai kya hai kasoor?
Galti ginaane ka abhi shauk nahi
Galat waqt pe bhi mai hun toxic
Ye roz ka nahi par afsos bhi nahi hai
Tere jaisa mera dost bhi nahi hai
Par ab ek doosre pe zor bhi nahi hai
Tere alfaazon me bikhri jaaun
Mile na mile tu kabhi, aati jaaun
Shaam dhal chuki hai mai kahan hun?
Der ho chuki hai mai khafa hun
Tere hi toh lafoz pe fida hun
Teri aawaz me doobi jaaun
Teri roshni ke sahare mai kinare