Ek tarfa hai industry aur ek tarfa hai dil mera,
Ek tarfa hai khaali jaeb aur ek tarfa hai bill bada,
Ek tarfa hai khud se pyaar aur ek tarfa hai khud se khauf,
Ek tarfa hai maa ke aansu ek tarfa woh ladti, roz,
Ek tarfa hai kaidi saare, ek tarfa hai khuli chhoot,
Ek kande pe asliyat aur ek kanda bas bole....,
Kitne, zakham? Har din kareeda ek kafan,
Ek tarfa lagta mazboot mein, ek tarfa zindah taboot mein janam,
Ek tarfa khoon ka jashan, aur ek tarfa khoon ka wazan
Har boond se banta junoon ye mera, main aatish mein doondu phir saahil ke kadam,
Ek tarfa sawab hai, ek tarfa galat toh hai, kare kya rasmo riwaj hai,
Hum hi ghulam hai, ek tarfa toh karna hai , kehna par hum toh khilaaf hai,
Tume Samajh aaye farzi kya,
Asool pe chalne ka gudda nahi,
Soch choti inn ki duniya,
Ahmer ek dard hai, ye rapper ek taraf hai,
Ahmer toh arsh hai, tu toh bas meri jhalak hai,
Studio tha khwab , gaane phone pe record,
Sar pe ab taaj, rakha sab maine yaad,
Huh, rakha sab maine yaad , woh bhi toh haina farak shayad
Yahan andar hi andar politics , kaise bhi karke bas ahmer ho gayab,
Mujh pe ilzaam kahee, mujh pe lihaaz nahi,
Mujhe sunte hai log kitne akhir, hota inne bardasht nahi,
Girane ki saazish main, baithe nakli aalim hai,
Fame ke peeche launde bhaage, tab bhi na hote mutasir ye,
Ye khel na sab ke bas ki nahi, chahte ladki gaadi, chhuti inki buss bhi,
Leke haath main lathi, kate saanp ke sar bhi,
Dikhi jab khudgarzi, maine rah hi badli,
Khaya na main kisi ke haq ki,
Aur chaat te the meri, par main diya na fuck nahi,
Alag kapde se bana mera koi na darzi,
Ab toh koshur nizam sune ek har basti