LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Raabta (feat. Isha Gulzar & Kxx1sh)

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Kya zindagi se raabta
Reh ne laga hu laapata
Kise kahu ye kya pata
Bas mai hi mere saath tha

Kya hoga isse mai anjaan tha duniya anjaan thi lekin ab khush
Shuru mein gaano pe the bakte ab taareefon ke bhi bandhenge ye pul
Dimaag hai bata do hisso me ek kyu karta hai doosre ko chup
Mai haara ya jeeta ye baatein hai kal ki lekin saath chaloge kya tum

Hisaab nai karti ye duniya khud ke hakk ko sirf cheenta gaya
Kal hi dimaag me phasa chahe kitni dafa kehlu din ye naya
Mauke the zyaada ni pass in mauko ko dil se mai chunta gaya
Waqt ki chah thi pehle ab dil ye kare lau daur naya

Kya zindagi se raabta
Reh ne laga hu laapata
Kise kahu ye kya pata
Bas mai hi mere saath tha

To chain se bhoolne de pal jab saath mere kabhi na koi tha khada
To chain se sehne de pal jab khud hi khayalo se ladna pada
Yaad bhi rehta ab ek ek chehra jo kal tak mujhse sada
Sab gile maaf bhi kardu jo kala ne diya mujhe dil ye bada

Jo muh par hasne lage the sunke rap hi karna hai mera sapna
Aur maine bhi maan liya ki yehi zindagi hai aur tapta gaya
Aaj sabko hi banna hai legend aur banani hai apni ek jagah
Aur chahu mai music ek zariya ho jisse karu mai baatein ye bayaan

Kya zindagi se raabta
Reh ne laga hu laapata
Kise kahu ye kya pata
Bas mai hi mere saath tha

Kya zindagi se raabta
Reh ne laga hu laapata
Kise kahu ye kya pata
Bas mai hi mere saath tha

WRITERS

Aman Tiwar

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other

LyricIQ Analysis

Top Emotion

Sadness

Sentiment
Thumbsup IconThumbsdown Icon
Theme

None