Inke hisaab se (Marks dekhe hain)
Chalo inke hisaab se (Padhai pe dhyan de)
Chalo bas inke hisaab se (Samajh Ayi)
Yeh bolein arts tu choose kar
Na khel KBC tu baat seedhi si jaan
Zindagi ki ABC ki mujhe zyada pehchaan
Already plan tera career betay
To tere dream train ki tu patri pe dede
Bhai ko dekh le, tu seekh le
Na life ko light le, na deti yeh replay
Toh IT side le ya banja CA
Na sununga teri salahein bhalay tu cheekhe
Teri life ka karne wala toss hun mai
Heads tera tails mera , Dono fingers cross kar
Tails aaya betay chal tu job par
Ab chalunga mai mere hisaab se
Padh liya kaafi tumhari kitaab se
Ab chalunga mai mere hisaab se
Pehle se maangta maafi hun aapse X2
Dono kaan kholo jaan lo yeh
Meri life mera career mera O2
Kehtay ho dream ko tu apne bhool ja
Bolo dus second se zyada mai saansein kaise rokun
Kyunki padhne mein Frieza hun mai
Ki tumhe kaise samjh mein aygi
Hunar na tumhe padhai ki kamaai ki
Fail hua fir—se toh maar padh jayegi
Issi tanaav se roz karein hum fight
Issi tanaav se jaagein poori poori night
Isis tanaav mein bache paas bhi ho jaate hain
Jo paas nahi hote woh kar lete hain suicide
Ab chalunga mai mere hisaab se
Ab chalunga mai mere hisaab se
Ab chalunga mai mere hisaab se
(Dekho bohot ho raha hai tumhara)
Ab chalunga mai mere hisaab se
Padh liya kaafi tumhari kitaab se
Ab chalunga mai mere hisaab se
Pehle se maangta maafi hun aapse
Pehle se maangta maafi hun aapse