LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

mausam

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Jo bhi likha maine laanat hai
Kaagaz ke panne meri amaanat hai
Pagal ke sadme ki ye alaamate parez ki likhaawat hai
Bache na hatheliyo mein taakat hai
Tujhpe in lafzo ki salaamati bachi hai heyy ya
Chalte reh chalte reh yaaa
Halke kadam pe sawaar chale
Chalte reh chalte reh yaa
Karde badan se rihaa
Kitni saanse mere seene mein ghooti
Kitni raatein meri neend hai tooti
Geele takiye pe patakte sar bhar aansuon se dard ke keel si thuki
Pehle din saare sunday the ghoome papa ke kandhe pe
Yaar saare lafange se chal pade sab dhande pe
Jo bhi khuda ke bande the lagte sab saare andhe hai
Bikhre dhaage manke ab lagte phaasi ke phande
Pehle kya tha, iske pehle kya tha mujhko nahi pata
Kalki yaade baithi qaidi man ki andheri gufaa
Na suraag aur naamonishaan karenge bhi toh kya
Dar ye aate lehro mein mitaate khwaabo ki ye raah
Ye raahe anjaan kyu lagti hai
Bhatakta chala mera man bhi hai
Bhula du mai khudko toh rakhle paigaam tu
Jo bhi likha maine laanat hai
Kaagaz ke panne meri amaanat hai
Pagal ke sadme ki ye alaamate parez ki likhaawat hai
Bache na hatheliyo mein taakat hai
Tujhpe in lafzo ki salaamati bachi hai heyy ya
Chalte reh chalte reh yaaa
Halke kadam pe sawaar chale
Chalte reh chalte reh yaa
Karde badan se rihaa
Na jaane kaise mere man ki aawazein lage ajnabi kyu
Sabki baate aise sarchadi kyu
Dabi saanse duba chala hawa mein bhi jaise jalpari
Nazar mein aate mere bachpani kyu, mera bachpani kyu
Yu lauta de mujhe
Jannat e jawaani mere yaado ke paar
Nange pair gande haath khele yaaro ke saath
Hase nashe mein toh saare peeke jaam-e-jawaan
Dekhe chaand sar zameen par sitaaro ke saath
Ab akele mere raat
Dhaar si zubaan hai meri razor mere haath
Rago mein alfaaz bahe karoon mai aazaad
Kore kaagazo ko rang du mai lahu se ye laal
Ab akele mere raat, akele
Jo bhi likha maine laanat hai
Kaagaz ke panne meri amaanat hai
Mere sadme ki alaamat
Hatheliyo mein taakat hai
Hatheliyo mein takat hai
Haa dekhe maine kaafi mausam mausam gagan bahaar
Is dohzak dohzak se mujha bacha
Ki ye mausam mausam badal raha
Akele
Mera razor mere haath
Razor mere haath

WRITERS

Amaan Shaikh

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other

LyricIQ Analysis

Top Emotion

Sadness

Sentiment
Thumbsup IconThumbsup Icon
Theme

None