Meri rooh ko rakhle kaneez
Kya woh aankhon mein teri is jalte jigar ka junoon
Ya phir teri kaandhe pe sar rakhe sote hue milti chand palo ka sukoon
Kya ye ek jugnoo hai, jo man ke andhero mein ghus jaake banta chiraag
Ya woh ek raaz jo sabse chupaake rakha tha par tumhe di ahle wafa
Ya bas tujhe paane ki zidd hai
Magar kya woh bachche ki matlabi maang
Ya tujhe khone ka dar hai
Kya woh bas akelepan se mai hairaan
Par ye saare khud hi ehsaas, inki khud ki pehchaan
Ye khud hi mukammal daleel hai
Seh toh chuke hum tamaam, tajurbe ke naam
Par in sab ke aage kya cheez
Ye duniya hai jalti humi se, jalaakar rahegi, ye pyaar gunaah jo lage
Par dewaangi apne dam pe khushi mein ya gham mein ye saath nibhaake rahe
Ye rishta kya lajawaab hai
Ye rishta jo rooh ko thandak de aankhon ko narmi de bemisaal hai
Har mulaqaat mein aake tu basti aankhon mein yaadon mein chaahe tu juda ya qareeb
Aur teri zubaan pe base mera naam chakhu toh labo pe lage woh lazeez
Aur shayad mohabbat ye sab hai, aur na bhi hai bas ek paheli dilo ko azeez
Aur shayad ye samajh na padti bas chadhti beemaari si aur hum the baithe mareez