LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Tu Azaad (Live Take)

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Teri aankhon ka taara
Toh mai na bansaka
Kya ye dil ka ishaara
Ek tarfa hai bhala
Apna rishta yaarana
Dastoor ankaha
Sarhado ka taqaaza
Na pura kar saka
Anjaane faasle hai tere mere darmiya
Jab saathi na mile hai toh phir jaana hai kaha
Tu azaad rahe
Parindo ki tarah
Tu kahaa chale
Is dil ko hi pata
Teri mehmaan nawaazi
Meherbaan dil bada
Tere Aashiq hazaaro
Aur un mein Mai khada
Tere dil pe humaara
Na koi haq bhala
Matlabi banna chaaha
Par mai na ban saka
Jalta hu bebasi mein kaisi hai ye bekhudi
Lekin dil maangta hai phirbhi teri hi Khushi
Tu azaad rahe
Parindo ki tarah
Tu aabad rahe
Is dil ko hi pata
Tu aazaad
Tu azaad
Tu azaad rahe parindo ki tarah

WRITERS

Amaan Shaikh

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other