LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Meri Baaton Mein Wazan Hai

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Baato mein wazan hai
Ayee
wazan hai wazan hai wazan hai
Baato mein wazan hai (baato mein wazan hai)
Ayee
Wazan hai wazan hai wazan hai
Tere mein tashan hai
par bhai meri
Baato mein wazan hai wazan hai
Baato mein wazan hai
Baato mein wazan hai
Ayeee
Wazan hai wazan hai

Dikhe chaaro taraf daud mein sab lage pade
Jo na daude wo daud mein hi fase pade
Bhari bheed mein khof ko tu cheer bade
Hote nahi baato se haan kaam pe na break lage

Dekhe mujhe teri khala kyuki meri kala se bhara pada pitara
Kala-kaar mein sawar tumse karta yeh wada
Jald chamkunga banke sitara wada

Game mein aaya jabse kisiko na fuck diya
Likhawat sach fact bharke sabak diya
Jo bhi kardiya mene khud kardiya
Puche haal chal aur bhai hai kyaaa

Fame se name hate dikhe durr tak na
Meri yeh koshish doon mai hard gaane har dafa
Kaisi wafa Sangeet aur mere beech
Mel khate dono unch neech nahi 100 taka

Ncix ko dekha kya
Sosavvy suna kya
Delhi 62 uchla
Par tujhe pta
Your bitch is chasing us
Aur tujhe laga kya
Wo to sirf fan
Abey damn
Tujhe pta kya

Khamkha tera carrier na sojaye
Fanekha banta tu khud mein na khojaye
Ibadat karu kahi galati na hojaye
Khushiyan mana chote aaj mera roza hai

Baato mein wazan hai
Ayee
wazan hai wazan hai wazan hai
Baato mein wazan hai (baato mein wazan hai)
Ayee
Wazan hai wazan hai wazan hai
Tere mein tashan hai
par bhai meri
Baato mein wazan hai wazan hai
Baato mein wazan hai
Baato mein wazan hai
Ayeee
Wazan hai wazan hai

Jo bhi sune har ek line dhansu bole
Wazan har baat
Par na wazan tule
Jab muh khule
Scene bane
Maahol bane

Kalam chale karam bane
Kabar bane kafan jale

Aasman ko chute
Zameen pe hai log dekhe
Zameen pe rehke
Hawabazi wale log dekhe
Galti neta ki awaam ko kyu dosh dete
Stab kare saath wale dost nahi snake dekhe

Gaana poora jisey shabdon se bhardunga
Budhi teri brasht jisko mai har lunga
Wo kehti tujh jaisa aur koi suna nahi
Afeem hai awaaz aur maang, aur dunga

Dil hai bada tabhi bhar ke hai pyaar milta
Kala se paisa kalakari se samman milta
Yahi kamana tabhi mann ko vishram milta
Pariksha zindagi aur mehnat se milti safalta

Baato mein wazan hai
Ayee
wazan hai wazan hai wazan hai
Baato mein wazan hai (baato mein wazan hai)
Ayee
Wazan hai wazan hai wazan hai
Tere mein tashan hai
par bhai meri
Baato mein wazan hai wazan hai
Baato mein wazan hai
Baato mein wazan hai
Ayeee
Wazan hai wazan hai

AM STAR

SO SAVVY RECORDS

SQUARE 1

DELHI 62

WRITERS

Amrik Massey

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other