Hua toh kabhi na mujhe aisa
Hua bhi tujhe toh keh de na
Haan yeh lage ke doob sa gaya jahan
Mere dil ka rehnuma tu hi toh hai
Raahon mein bhi rehbara tu hi toh hai
Kaisa hai yeh rang chadha tere liye
Shaam ho ya ho subah, meri dua tu hi toh hai
Tujhe kahin aa main le chalun
Koi bhi dhoond na sake humein jahan
Hum dono ghul rahe yun rait ki tarah
Haan yeh lage ke doob sa gaya jahan
Mere dil ka rehnuma tu hi toh hai
Raahon mein bhi rehbara tu hi toh hai
Kaisa hai yeh rang chadha tere liye
Bepanaah khushi ki aaj harr wajah tu hi toh hai