Teri zulfon ko chhokar jo, aayi hawa
Uss hawa ne diya hai mujhko, tera pata
Tu pahadon ke uss paar, rehti jahaan
Tere paon ki thirkan hai, pahunchi yahaan
Kya issi ko hi kahte hein, bus intehaa
Toh mujhe hai mohabbat tujhse, be—intehaa
Yaadon ne teri, meri neendein chura lee hein
Palkon pe meine teri, khwahishein saja lee hein
Har lamha mujhko tera, intezar rehta hai
Bas tujhko dekhne ko dil, beqarar rehta hai
Bus ja tu bus, ab iss dil mein, hai ilteja
Inteha nahi ye ishq, be intehaa