Meri zindagi men saanp kaafi yaar bane
Hum bhaag pare inko dilon men hain daagh pare
Sapne toote, khouf dil men rkh ke jaag pare
Underground jaane mjhe urdu rap ki shaak banen
Kaash inke dilon men kabhi ahsaas bane
Kamana mushkil, chahen sb ke apne paiso ke bhi baagh bane
Nazar aisi sb pe rkhi jese hum bhi baaz banen
Roz shayari hum likhen pannon ko bhi raakh kren
Poori poori raat jaagun mujhse soya na jaye
Wafa krne wala dost mujhse khoya na jaye
Rishta qaim rkhna wala hoon main tora na jaye
Kaafi chup mehfilon men raaz khola na jaye
Likhayi tez itni saare khaali panne bhar doon
Dil men main ghum leke aankhon men khushi ke aansun main bhar doon
Hustle jaari rkhun, khuwaab poore krdoon
Agr kuch na mila saadgi se bhi zindagi ko main basar kr loon
Zakham gehre per in zakhmon ko men bhar dunga
Mushkilen sar pe per maa baap ke liye lar lunga
Manzil oonchi, seer'hi tooti, lekin char lunga
Aur sochun roz maa baap ko kama ke apna ghr dunga
Dil bikte yahan jese ke koi bazaar ho
Kiya ye azaadi na raas, kiya tm aazaad ho
Mulaqaat nahi mujhse kiya tum naraz ho
Gheebat leke chalte kehte ke tm paak saaf ho
Mere gaane men hai idol mera aaghaz wo
Sunaoun kissay inke haal e dil bhi na saaz ho
Main khuli kitaab, na mera koi raaz
Mic jale aisa likhta jese bars aag ho
Tu flex krta tu ne kitna hai kama liya
Zamana jale aisa studio bana liya
Jinho ne bhi khana tha humse jitna bhi khaa liya
Stage charen samne dikhti mjhe bajti kaafi taliyan
Inmen hustle nahi hasad bhari peeche dete galiyan
Jab note banen, kharchay barhen kaanon men ho baaliyan
Sb per sab kuch luta diya per khudko maine kiya diya
Inhon ne khud ko ganda krke meri nazron men hai khudko gira liya, damn
Muntazir mei apne urooj ka
Shareekon se bhi haal chaal poochta
Wo lapata ke main sab jaanta
Aik yaar nikla saanp jisko samajhta mein jaan tha
Zindagi niklal pari alag mor pe
Baat karta men seedhi jani tol ke
Par aatay khayalat kuch aise jo na qaabil e bayaan , betha rehta tabhi soch men
Ab mei betha awazar, mere na koi saath jo ke pooche haal chaal ye saare khelen saanp seedhi to phir chalun main bhi chaal, yahan sabke chehre do, banen phiren adakar, wese mein bhi hun kohtaiyon ka shikaar, sab pe hoti nazar jabke ghaltiyan hazar, betha khud se bezaar, kese note juren chaar, kheir
Ye mere bare kya sochen wo meri bala s , haal e dil karte bayaan hum qala, rukte ni inke woi jhoote dilaasay ye jhoota zamana hein jhoote nazare, bas karte dikhaway ye neecha dikhana mei hote hain aagay, ye karte aur poore na karte hain daway, kya hai haal e dil mera ye koi bhi jaane, yeah
Ab bethe tanhai guzaari saari raat
Waja bani log aur kuch ese thay halat
Par mujhe nai koi chahye jo aake thaame haath
Kyunke ye mein jaanta mera rab mere saath
Bewaja karte mere se ye behes
Main bhi leke chalun apni ail leher
Sage rehte duur, saath chalen mere ghair
Qalam chalay tez, hain safon ke paray dher
Be dili aisi ke likhen ab sher
Sochta kuch raazon ko rehne dun raaz hi
Seekha har baat batani ni laazmi
Apne hein dil mein, saath bhari saadgi
Har roz lagay saans jese aakhri