LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Mashhoor

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Aya tha phase socha tha
Likh likh ke sabkuch nikal dunga
Par gham me hi rahu hardam tab bhi
Kehta mai sabkuch sambhal lunga
Maan lunga, jhoothe the log
Jo kehte the mai koi paigaam dunga
Adhura mai khud hi,
Kaise teri khwahish ko anjaam dunga?
Galti thi meri hi.
Maine itna jo khudko jhuka diya tha
Khud jo mai toota
Jane kitne apno ko maine rula diya tha
Kuchh log the paas
Tab tak ye zindagi rukti nahi thi
Thehra tere paas kaafi der
Maine zindagi ko bhi sula diya tha.
Ek se toota tha, dooje pe fir bhi luta diya
Zindagi mamuli, ye teeje ko maine dikha diya
Mita diya tha
Maine sare zakhmon ko chhupa diya
Par roya mai jab tera aage,
Tune bhi mujhe tthukra diya.
Koshish hazar, but all it feels like I'm choking
World's greatest showman!
Bol kaise dekhu ab mai ye dreams?
I don't know!
Baatein hain bohot par janu na where it be goin
Been fighting for love,
While the family's always been broken.
Chhod de tu, Bas itna hi aata hai kehna tujhe
Akhir kaise khala mehsus ho,
Jab koi aur hi wo bharta rahe?
Hota na wait.
Raha na jata akela, toh kuchh bhi chale
Kaisa hai ghar ye jisme
Kabhi bhi koi bhi aata rahe?
Taken for granted, why?
Chahe jitna mai khudko nichod du,
Har koi kehta tha bada hai,
Khada ho, bhaag aur tezz aur daur tu.
Sikha tha sath nibhana,
Toh dard me kaise me chhod tu?
Akhir jab tujhse mila mai,
Tu bhi kahe, koi aur tu.
Hai aayi fir wo raat mai fir nashe me choor hu
Ladkhadata apne ghar se kaafi door hu
Mai majboor, firbhi dikhta mashhoor hu!
Baatein band, mai tadapta sa guroor hu.
Wo kehte rehte jaise mujhme koi noor ho
Puchhta na koi, kyu hai khud se door wo
Wo noor kya jo apne aag se hi door ho?
Khud bhi sochta hai, kyu hai mashhoor wo.
Kyun hai Mashhoor wo? Tell me why?
Aya tha phase, socha tha
Ghadi ye shayad naraz ho gai hai
Har koi jane mai kitna bura hu,
Ye koi raaz toh nahi hai
Jab zindagi girne lagi,
Dekha koi yaar bhi nahi hai
Soch ki duniya ka king tha mai,
Par ab wo barbaad ho gai hai.
Bhagna gharse yaad hai ab bhi.
Logo ne kaha ki kayar hai tu,
Mamuli sa ek shayar hai tu,
Saare ye wishful desires tere. Yeah!
You know what I'm saying, Right?
Aaj mai gaa ke sunata kahani ye apni,
Toh kehte wo fire hai tu..
Fire...
Kehte wo fire!
Fire in my words.
Likhta mai jo kuchh bhi fire
Haters ka bhi banu desire.
Worldwide meri chhoti si duniya,
Jaha pe sab hai jaante.
Ye bhi hai phase, pata hai,
Kal ye hoga nahi
Alfaaz ye aaj bhi kam hai,
Adhoore hai khwab sabhi
Par aaj bhi dekhu mai khwab toh dikhe wahi
I know I'm gonna be the fucking king
When it's my time to be!
All this pain inside of me
Inhe nikalne ki dhundi maine remedy,
Out in melodies.
Aaya tha phase, jab mai nadaan tha
Ab lage kyu mai sab kuch hu janta.
Kyun?
I know they're tryna know me
Akhir maine hi toh mangi thi ye zindagi,
Was my fantasy.
Aya tha phase, jab khudse hi nafrat thi,
Par aaj bhi kaafi log wish they could be me.
Hai aayi fir wo raat mai fir nashe me choor hu
Ladkhadata apne ghar se kaafi door hu
Mai majboor, firbhi dikhta mashhoor hu!
Baatein band, mai tadapta sa guroor hu.
Wo kehte rehte jaise mujhme koi noor ho
Puchhta na koi, kyu hai khud se door wo
Wo noor kya jo apne aag se hi door ho?
Khud bhi sochta hai, kyu hai mashhoor wo.
Haa aayi fir wo raat mai fir nashe me choor hu
Ladkhadata apne ghar se kaafi door hu
Mai majboor, firbhi dikhta mashhoor hu!
Baatein band, mai tadapta sa guroor hu.
Kehte wo rehte ke jaise mujhme koi noor ho
Puchhta na koi, kyu hai khud se door wo
Wo noor kya jo apne aag se hi door ho?
Khud bhi sochta hai, kyu hai mashhoor wo.

WRITERS

Amit Saxena

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other

From This Artist