Kis baat ka gham hai jab Ali ko Imam maante ho
Gawah—e—Kun, humsafar—e—Paighambar
Malik—e—Subh—o—Shaam maante ho
Ya Ali, Ya Ali hi har waqt pukara jaye
Har lamha isi zikr mein hi guzara jaye
Ya Ali, Ya Ali hi har waqt pukara jaye
Har lamha isi zikr mein hi guzara jaye
Allah kar raha hai farishton se yeh guftagu
Khushboo hi khushboo bikhri jaye hai har su
Terah Rajab ko Kaabe mein Ali ko utara jaye
Aate nahin dukh aur dard kabhi us ke
Hoti hai hazri tere dar ki jise naseeb
Waqt ki aandhiyon mein na phir woh maara jaye
Denay Mubarak Muhammad ko jab sab haaji aayen
Man kunto Maula aur bakhan bakhan ki goonjain sadaayen
Ghadeer—e—Khum ka na woh aankhon se phir nazara jaye
Niyaz—e—Ism—e—Ali dil ne jab se chakhi hai
Ali Ali ke wird se Anjum har saans saji hai
Ya Khuda, door zindagi se naam—e—Ali ka na sahara jaye