Gehra samandar, ya behta paani
Mere kaano mein ab bhi kyun teri aawajein
Jo likh na sake kyun na tumko suna dein
Vo kehte the zaalim ko ek gehra shayar
To kyun na tumhe shayari hi bana dein
Fir se bikharne ke khatir
Gehre paani mein gehrai dikhti nahi
Milti sahir se dariya ko milti nahi
Vo jo doobe the bethe hain nadiya kinare
Galti hai ke koi galti nahi
Gehra samandar, ya behta paani