Beeti Yaadon Mein, Khoye waade Hein
Poore karne, ke, Sau Iraade Hein
Khud ko yun paana, aasaan nahi
Koshish hi sab kuch hai , anjaam nahi
Manzoobe dil mein kaafi hein
Aarzoo hein aur umeedein bhi
Kharch kar doon inhi ko main
Har koi hai kyun toota hua?
Ladh jhagad ke ek duuje se
Sochta hoon, ke milta kisiko hai kya?
Tanha aage badhnaa, aasaan nahi
Koshish hi sab kuch hai, anjaam nahi