Thami si nadi ke kinaaron mein
Bujhte huye charaagon mein
Doobte huye sahaaron mein
Chal pade kadam mere hum khade phir wahin
Kuchh naye gul khile hum rahe bas wahi
Ae dil gungunaa fasana-e-zindagi
Ae dil kuchh sunaa kahaani tu apni bhi
Dhalti saanjh ke nazaaron mein
Baadalon ke fuwaaron mein
Gum hain hum hazaaron mein
Humsafar gaye kidhar ab khabar humen nahin
Kuchh bashar gaye guzar hum rahe bas yahin
Ae dil gungunaa fasana-e-zindagi
Ae dil kuchh sunaa kahaani tu apni bhi
Ae dil gungunaa fasana-e-zindagi
Ae dil tu sunaa kahaani kuchh apni bhi
Ae dil gungunaa fasana-e-zindagi
Ae dil kuchh sunaa kahaani tu apni bhi