Sooraj doobe dhale sitara
Man ki gali mein hai andhiyara
Naam jo tera lab par aaye
Jogi bane tere pyaar mein phirte hain sansaar mein

O banke jogi tere ishq mein
Mujhse mera haal naa poochho
Poochho dil ki kya razaa hai
Dekho kaise bahaar bhi aa gayi
Fakir ko ik baar daras ki aas hai
Banke tu chand nikle mere darbaar mein
Jogi bane tere pyaar mein phirte hain sansaar mein
Jogi bane tere pyaar mein phirte hain sansaar mein
O banke jogi tere ishq mein
Musafir jiski hai manzil tu
Hoon mauj jiska hai sahil tu
O dhadke jaise mera dil hai tu
Haafiz aur mera qaatil hai tu
Guzre hain gam jo teri dillagi mein
Bhatakte hain hum gali gali mein
Shahar se kasbe kasbon se gaanv
Dar dar main dhoondhoon teri palkon ki chhanv
Tu ram gayi hai jaise mere qirdar mein