Aaj bhi teri hi yaadon mein khoya
Aake tum dekho mein kya se kya hoya
Hakeekat mein hona jo mumkin nahi toh
Sapno mein aake hi maraham lga jaa
Tere jaane ke baad mein ek pal na soya
Teri hi yaadon mein ye dil hai roya
Mene jo khoya kisi sapne ko khoya
Tune jo khoya woh apne ko khoya
Aaj bhi Teri Khushi Meri Khushi
Han maana abhi toh hum door hain jaana
Ho ske toh zara paas tu aana
Aana na Aana tu mujhko btana
Taal na dena kuch karke bahana
Woh yaadein purani abhi bhi yaad aayein
Deke dilasa fir se chli jaayein
Hum bhi btayein toh kisko btayein
Kab tak hum ese hi aanshu chupayein?