LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Ilahi Teri Chaukhat Vocals Only

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Ilahi teri chokhat per bhikari ban ke aya hoon

Ilahi teri chokhat per bhikari ban ke aya hoon
Sarapa faqr hoon ijz o nadamat saath laya hoon

Ilahi teri chokhat per bhikari ban ke aya hoon
Sarapa faqr hoon ijz o nadamat saath laya hoon

Bhikari woh ke jis ke paas jholi hai na payala hai
Bhikari woh jisey hiras o hawas nay maar dala hai

Mata e deen o danish nafs ke hathon se lutwa ker
Sakoon e qalb ki daulat hawas ki bheent charha ker

Lutta ker sari poonji ghaflat o issyan ki daldal mein
Sahara lene aya hoon tere kaabay ke aanchal mein

Gunahon ki lipatt sey kaynat e qalb afsurda
Iraaday muzmehal himmat shikasta hoslay murda

Kahan say laoon takat dil ki sachi tarjumani ki
Ke kis jhanjhaal mein guzri hein ghariyan zindagani ki

Khulasa yeh ke bus jull bhun ke apni roo sayahi sey
Sarapa faqr ban ker apni haalat ki tabahi sey

Tere darbar mein laya hoon apni ab zaboon haali
Teri chokhat ke laeq har amal se hath hein khali

Yeh tera ghar hai tere mehr ka darbar hai maula
Sarapa noor hai ik mohbat e anwaar hai mola

Teri chokhat ke jo adab hein main unn se khali hoon
Nahi jis ko saleeqa manganey ka woh sawali hoon

Zuban gharke e nadamat dil ki nakas tarjumaani per
Khudaya raham meri iss zabaan e be zabani par

Ye ankhein khushk hein ya rabb inhein rona nahi aata
Sulagtay daagh hein dil mein jinhein dhona nahi aata

Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon
Sarapa faqr hoon ijz o nadamat saath laya hoon
Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon
Sarapa faqr hoon ijz o nadamat saath laya hoon

WRITERS

Aqib Farid

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other