Ek duje ko ab chunn hi liya hai hai
Pyar ka taana bunn hi liya hai
Dor jo hai bandhi tune, mere dil se jaaniya
Tere sang meri raahein, tu hai mera haaniya
Tujhe paake maine jaise jag saara paa liya
Lagta hai usne sunn hi liya hai
Pyar ka taana bunn hi liya hai
Dil mein bithake tera sajda kiya hai
Baaki saare jag se maine parda kiya hai
Jabse hai dekha tujhko, main toh tera hogaya
Tera har lamha lamha, abse mera hogaya
Dil ko sambhala haye, jaane kaise khogaya
Tujhe deke rab ne shagun diya hai
Pyar ka taana bunn hi liya hai
Tere sone haathon ne thaama mera haath hai
Tera saath milna mujhko, milna saugat hai
Sapna jo dekha tha, poora honewala hai
Raaton ki syahi mein, pyar ka ujala hai
Tere liye dil ko maine, ab tak sambhala hai
Hum dono ne ab lagan kiya hai
Pyar ka taana bunn jo liya hai