Bedhang jahaan ke kirdaar ajoobe
Yeh khel tamaashe dilchasp bade yahan hain
Sabke haathon mein haste se mukhaute
Yeh khel anokhe dilchasp bade yahan hain
Kayadon ki rassi pe jo latke hue,
Ghoomti sooiyon pe jo atke hue,
Kaali pattiyon se nazar dhakte hue,
Naachta sheher circuson sa ho
aadaton mein kartabon ki ratt lagi hai, kuchh naya toh ho
khwahishon ke dum, andhere hain daraate, phir subah toh ho
Khwahishein jo saari dhuien mein ghut rahi
Tere hausalon ki, teri zameen mein, bone de
Kayadon ki rassi pe jo latke hue,
Ghoomti sooiyon pe jo atke hue,
Kaali pattiyon se nazar dhakte hue,
Naachta sheher circuson sa ho