Aise hoti, kahaaniya shuru,
Rangeen woh din, puraane panno mein lipti
Yeh karvaan, jo chalti hi rehti hai,
Aayine mein, bachpan meri dikhti..
Raat ko Maa jo sunaati kahaani,
Laddoo ki sheeshee chhupati thi naani,
Woh aasma ke ujaale mein,
Waqt ke nadi mein beh gayi..