Din raat khoya khoya sa hoon
Aankhon mein har pal , uska hi chehra ,
Uski hi yaadon mein uljha sa hoon
Ae mere masoom dil tu bata
Kya isi ko kahte hai pyar
Ae mere masoom dil tu bata
Kya isi ko Kahte hai Pyar
Hansta hua wo phoolon sa chehra
Jb se mere dil mein he thehra
Khud se juda sa rahne laga mai
Taaron se baatain karne laga mai
Tujhse se hi meri ab sari khusiyan
Tujh hi mein dhoondhu apni duniya
Ae mere masoom dil tu bata
Kya isi ko Kehte hai pyar
Ae mere masoom dil tu bata
Kya isi ko kehte hai Pyar
Kaise bataun mein hal apna
Jagi nigahon se dekhun mein sapna
Baahon mein meri lipti hui wo
Saanson mein meri simti hui wo
Ek din banegi mere dil ki rani
Adhoori rahegi ya meri kahani
Ae mere masoom dil tu bata
Kya isi ko Kehte hai pyar
Ae mere masoom dil tu bata
Kya isi ko kehte hai Pyar
Kya isi ko kehte hai pyar
Kya isi ko kehte hai pyar…..