Badte Kadam Hai, Kyun rukte nahi
Aasman berang hai, ye badalon mein chipa
Masroof hai tu, fursat kaha(Jo dekhe isse iss tarah)
Tinke si yaad hai sambhalo zara, udd na jaye hawaon mein
Pal pal chutt te hai yeh lamhein
Ruth gaya hai tu toh humse, chup chup dekhu tujhe(haye)
Pariyon ki duniya mein bas ek taara hoon main, chanda humse ruth gaya ab kaise chamku main....
Tere nishan hai jo mitt te nahi
Kosis karu toh bhi chupte nahi
Kaisa ahsas hai, bada hee haseen
Dhundu tujhe main, khawabo mein bhi