LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Darwaaze

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Ghadiyon ki parwah na thi
Jab yeh umar athara thi
Doston ki haan mein haan bas
Bhari hum ne
Badla badal ke ab bhi
Kuch bhi nahin par phir bhi
Pehle se alag sab kuch hi
Kahin hum mein

Ab hai fikar bhi
Qadar bhi
Sabke ghar ki
Sabke safar ki
Har pal
Waqt yeh umar yeh
Bhaage sabse aage
Sar pe daage
Aanewaala kal

Duniyadaari ne di aawaazein
Par yaari pe maare na darwaaze
Aadhe kal jaise aadhe taaze
Par yaaron pe maare na darwaaze

Pehle jitni nahin hoti
Baatein— waatein kam ab hoti
Par jitni bhi hoti
Woh kaafi hain

Hoti jahan pe khatam baat
Phir se shuru ho wahin se
Mahiney lagein ya lagein saal chaahe
Par ab samajhte hain ik doosre ke sabhi faisle
Lagte tabhi kam hain yeh faasle

Duniyadaari ne di aawaazein
Par yaari pe maarey na darwaaze
Aadhe kal jaise aadhe taaze
Par yaaron pe maare na darwaaze

WRITERS

ASEEM SUNIL DHANESHWAR

PUBLISHERS

Lyrics © The Administration MP, Inc., THE ADMINISTRATION MP INC, UBEM (União Brasileira de Editoras de Música)

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other