LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Kaun Main Kya Main

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Itna zaroori nahin
Jitna zaroori yoon hi
Lagta main khud ko hoon
Main toh bas ik zarra hoon
Roshni ki leharon ke
Pedon ki yeh umron ke
Neele neele saagaron ke
Aage ik qatra hoon

Resha resha patton ka dekhoon jo
Haathon ki phir lakeerien kya hi hain

Dekhoon jo nazaare yeh main
Sochoon kya karishme hain
Aur phir lagta hai
Kaun main kya main
Dekhoon jo nazaare yeh main
Saare dilkash yeh hain
Aur phir lagta hai
Kaun main kya main

Kudrat jaadui hai
Ismein hi zindagi hai
Khud se hata ke nazar
Karoon gaur jo iss pe
Baaghon mein hain kitne rang
Chaand ko na lagta zang
Dharti bhi hai yeh malang
Apni dhun mein ghoome

Oonche oonche parbaton ke aage
Jhukte saare mann ke bharam hain

Dekhoon jo nazaare yeh main
Sochoon kya karishme hain
Aur phir lagta hai
Kaun main kya main
Dekhoon jo nazaare yeh main
Saare dilkash yeh hain
Aur phir lagta hai
Kaun main kya main

WRITERS

ASEEM SUNIL DHANESHWAR

PUBLISHERS

Lyrics © The Administration MP, Inc., THE ADMINISTRATION MP INC, UBEM (União Brasileira de Editoras de Música)

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other