LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Teh Lage

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Kitna kuch hai bolne ko
Phir katraate hi aaye kyun
Belehar ik nadi ke jaise
Thami baatien haaye kyun

Yeh jo tah lage mann mein
Baaton ke safhey saare
Aaja na inhe phir se khol de
Yeh jo tah lage mann mein hain
Baaton ke safhey saare
Aaja na zubaan pe inhe ghol de

Tu khayaalon ka yeh zakheera
Khulne de poora ka poora
Ek ek rang yeh nazariye ka tera
Naino mein utaaroon jaise chaand sunehra
Aane na doon shakki se
Baadalon ko nazar pe dobara

Yeh jo tah lage mann mein
Baaton ke safhey saare
Aaja na inhe phir se khol de

Yeh jo tah lage mann mein hain
Baaton ke safhey saare
Aaja na zubaan pe
Inhe phir se ghol de

WRITERS

ASEEM SUNIL DHANESHWAR

PUBLISHERS

Lyrics © The Administration MP, Inc., THE ADMINISTRATION MP INC

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other