LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Mukhtasar Si Baat

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Verse 1
Tum jaane ki baat karte ho
Tum to yahaan thay bhi nahin
Mere humnawa ban ke bhi
Mere kabhi thay hee nahin

Bridge 1
Poochta zamana dohraauun main baatein puraani
Pooche ga khuda to bataaoon ga poori kahaani

Chorus
Teri meri kahaani adhoori thi magar
Mukhtasar si baat thi aur aaj yeh mukammal hogayi

Verse 2
Raaton mein jab sitaare aapas mein baatein karte honge,
Teri tarhaa kabhi meri tarhaa woh bhi aahein bharte honge
Jab bhi tere paas aane ko mera jee chahe
Hawa sa banke meri nazron se hatt jaaye
Kya yeh mumkin hai aaj bhi teri aankhon se
Mere hee naam ka aansuu phir baras jaaye

Bridge 2
Milke ke bicharrna, bhool jaana yeh to qismaton ki baatein hain
Tujh se na sahi puraani yaadon se phirse mulakaatein hain

Interlude
Tere hone se pehle bhi tanha tha main,Tere jaane ke baad bhi tanha hoon.
Farq bas itna hai, tujh mein aur mujh mein
Tu jaa chuka hai main khara wahin pe hoon

PUBLISHERS

Lyrics © TUNECORE INC, TuneCore Inc.

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other