Baahein khol, baahein khol, gale se lagale hu tadap raha mai bohot
Doori badhti apno se, hai sapne gayab roz
Khud se dosti hai kam toh khudko dete dosh
Zyada, hosh zyada khote gham mai jeena chahte roz
Bohot zyada dil pe bhaar, dum na de yeh tod
Chaahe khud ki khushi na ki khudkhushi
Bhale zindagi kitni bhi dukhbhari
Kam se kam nahi dekhi maine bhukhmari
Kya paaya? Kya khoya maine? Kuch nahi
Yaha sukh nahi, sukhi padi aarzu hai
Fir bhi karte kaam jaise humne Chaar Dham ghume
Baat sunn, dekhne waale bohot tu bas aakh chun
Nazar mai hona nahi raakh, pehle aag chun
Sannata bohot zyada, koi karega shor
Isse pehle ki yeh zindagi badle apna mod
Baahein khol baahein khol
Par aab toh hosh bhi nahi hai
Baahein khol baahein khol
Aankhe kholu par na dekh pau kuch
Mei chal raha hu sach ki raah pe
Bass hai kali rate Naseeb me
Sitaro ko dekh kar man behlate
Jo milta usme rehna khush hum chahte
Dikhawa kam kala badi dikhate
Aur khudko pate thoda khush
Bekar me hi na hasi ke piche
Par ho gayi hai kafee der
Hu badalo pe karta aasamn ki sair
Khuli hawaye ye pass me bulaye
Jahan ko sitaro se sajadee
Baahein khol baahein khol
Par aab toh hosh bhi nahi hai
Baahein khol baahein khol