Yun to na chordha akela kabhi
Tumne mujhe bheed mein iss tarah
Tanha mujhe chordh kar yun gaya hai
Jaese ho toota koi khwaab sa
Hona likha tha jo gaya hai
Soona hua mera jahaan hai
Main aaj bhi hoon thehra wahin par
Tumne mujhe chordha jahan hai
Ek saath hum thy guzre jahan se
Awaaz de ke main jaa raha hoon
Ab unpe hai wo aayein na aayein
Tum dariya thy par ab ho tishnagi
Jo karwaan tha, tera mera tha
Wo raaegaan kyun ho gaya hai
Main aaj bhi hoon thehra wahin par
Tumne mujhe chordha jahan hai
Tum shaqs pehle thy utre jo mujh mein
Koi na mujh tak phaucha kabhi tha
Jiski wafa ne mujko sawara
Kaese kahun wo mera nahi tha