Kaala mera dil, dil mein hai khot
Sone ki ye chidiya, dil mein mere chor
Par main hi saccha Sanju, baaki saare dhoth
Kaam mera gaali dena sarkaar ko ghoonti
Gaali do inki, haan gaali do inki
Gaali do inke, haan gaali do inke
Gaali do inki, haan gaali do inki
Gaali do, gaali do, gaali do
Gaali do, do kyun teen, teen kyun chaar, chaar kyun gaali do
Din raat, haan haan banti jo sarkaar, aakhir apni hai
Chahe si company hai, desh mein lafde kam nahi hai
Par netaon ko to aati bas kadi ninda karni hai
Mera desh khokhla andar se, corruption ke is jungle mein
Gareeb dhoondhe kaala dhan, baha diya jo samandar mein
Vishwas Jantar—Mantar mein, chahe laash rakhi ho mandir mein
Jeb mein khanjar har dam, bas chappal na chori ho langar mein
Par main to deshbhakt, main to har dam seva karta hoon
Raaste mein koi kooda phenke, jhatpat main jhagadta hoon
Soch meri maar—kaat ki, kya fark padta hai?
Main to kattar Hindu bhai, main to roz Geeta padhta hoon
Das mein se nau sunne wale sun ke ye offend
Par akal se na sunne wale sun ke karein comment
Unke ghutnon mein dimaag, unke munh mein tikti pant
Kaam mera gaali dena, khud dekho aage ka plan
Kyunki kaala mera dil, dil mein hai khot
Sone ki ye chidiya, dil mein mere chor
Par main hi saccha Sanju, baaki saare dhoth
Kaam mera gaali dena sarkaar ko ghoonti
Gaali do inki, haan gaali do inki
Gaali do inke, haan gaali do inke
Gaali do inki, haan gaali do inki
Gaali do, gaali do, gaali do
Chun—chun ke aisi gaali do, jo bachpan se sambhaali ho
Jo World Cup to kya breakup ke waqt bhi na nikali ho
Ek jawaab do mujhko saale ho, jab chemical ho paani mein
To ye, ye dekh hai, ye zubaan kaise na kaali ho
Are baap se bhar gayi Ganga, Maiya Yamuna gayi hai sookh
Par humko ghanta fark nahi padta, hum sab gaaliyon mein mashroom
Loot machi hai is desh mein aur maut ka kaaran bhookh
Par kyun bhool gaye ye saari khud ki chook?
Par beta ye saara abhinay tha, main abhineta
Main abhi corrupt, main abhi neta
Mere baar samajh le ek baar, main itna samajhdaar tu kabhi nahi tha
To note sir, sach khoj kar, ghanghor Kalyug yahi beta
Sachchai itni kadvi, baatein nahi kehta agar nahi sehta
To kyun na gaaliyon se achha protest mein karein shout
Action le dam pe apne agar system lagta foul
Bas itna hi tha kehna, fark mujhe bhi nahi padta
Main bhi teri tarah dogula, I'm out