Wo pichhle do din se gayab hai, pooch—taach bhi nahi hui hai
Kaisi hogi, kahan hogi, koi baat bhi nahi hui hai
Neend saari ud gayi par bure sapne na dikhe
Tab se aisi ek raat bhi nahi hui hai
Lag raha jaise wo khel rahi in khilaunon se
In khilaunon mein se uski chaap saaf bhi nahi hui hai
Kaise pehchanegi wo pehne aadmi naqaab
Jinke asli chehron se uski mulaqat bhi nahi hui hai
Soch nahi paa raha kuch, bojh lage heartbeat
Ek ghadi thi chhupai usne
Khoj raha aaj bhi kya ho raha hai ek pal
Main kos raha Khuda ko aur agle hi pal
Usi ke aage jod raha haath bhi Bhagwan
Main pareshaan, jaane se pehle keh rahi thi ki ghadi mein jab bajega alarm, tab dhoondh lena
Ab wo baj raha lekin mujhko parwah na
Parwah sirf teri, tu kahan meri behna?
Hello, main kuch nahi jaanta
Humne use school bheja tha
Arey humne isliye bheja tha ki wo wapas na aaye
Use dhoondh ke lao abhi ke abhi
Jhaankta jab khidki ke baahar, ro rahe saare rishtedaar
Andar bhi bavandar, kabhi dekha na aisa vyavhaar
Police mein bhi darj, local media ka istemaal
Shehar ki har ek deewar pe bhi lage ab ishtahaar
Phir bhi koi khabar nahi, phir bhi koi asar nahi
Desh mein kanoon to hai par kanoon ka koi darr nahi
Jurm aur saza ke jitna lamba koi safar nahi
Ab har pal asafal, ab ho sabr nahi
Tabhi phone vibrate, laga hil gayi ho duniya
Likha tha wo mil gayi, laga mil gayi ho duniya
Jab padha poora gale mein gada chhura
Khoon se dhaka adhoora dekh laga chhin gayi ho duniya
Ye sab sach nahi ho sakta
Main jeete ji apni jaan ko yun nahi kho sakta
Lekin school bhi wahi, dress maroon bhi wahi
Uske baste mein bana jo cartoon bhi wahi
Shaam ka waqt tha, sunsaan raasta, flyover ke neeche
Aadha shareer latakta khaai par, haath se rokta aansu ye tapakta jaaye
Par iske peeche jiska haath, wo school bus ka driver
Nahi nahi! Aisa nahi ho sakta
Uski main uski jaan le lunga
Gala mera bhaari, saansein lagi atakne
Ghat rahi ye sudh—budh, badhne lagi dhadkanein
Dekh nahi paa raha kya sahi kya galat, chaahun
Phir bhi na himmat bane, sir bhi laga patakne
Us darinde ko main maar dunga ya zinda gaad dunga
Usi ke haathon se usi ke seene ko phaad dunga
Pahuncha uske ghar, gussa saatvein aasman mein
Aankhein bhar gayi khoon se, dikha wo khooni saamne
Main rod maari kas ke, na ja sakta wo bachke
Gala jakda aise ki phatne lagi nasen
Rok raha koi mujhe peeche se, main dhakka maara hat
Tabhi gira koi neeche us teesri manzil ki chhat se
Chaaron or sannaata, sannaate mein ek goonj thi
Baj raha mera phone, awaaz lagi sukoon si
Teri behen wapas aa gayi hai
Mujhe wo bus driver nahi, kisi aur ki kartoot thi
Kidnapping ka tha case, wo murder ki afwaah jhooth thi
Muda main neeche, dekha to kaanp gayi rooh thi
Ek bachchi ki laash meri aankhon ke aage
Aisi bhayaanak tasveer maine dekhi हूबहू thi
Fark sirf itna ki pehle meri bhool thi aur ab meri galti
Anjaane mein, par jiske peeche maine ek bekasoor ki nanhi si jaan chheen li