Mother Nature is dying in front of our own eyes, lekin humein dikhta hi kahan hai
Apne aaspaas dekh kitni jaat—paat pe hatya
Laakh paap kiya phir aap laash pe baith gaya
Bhagwan ne banaya uska Ram Naam Satya
Kiya insaan ne, insaan kaam bhatak gaya
Bhagya vibhag kya? Kya bhakti? Kya yagya?
Dekha lekha—jokha toh shaitaan bhi thak gaya
Dar tha marne ke baad garam tel mein talte honge
Par lagta aaj tande wala khud sooli latak gaya
Na dar, na khauf, na sesh—sen, na God
Sab chhod chale duniya, agle din hi maut
Bahut padhe—likhe bane, badle mausam pe maun
Jis kudrat mein bade, uska shauk rakhe kaun?
Jungle hata diye, bagiche bana diye
Kitni nasl khatam, kitni kagar pe la diye
Khunkhaar drishya, Ishwar ke bachche bhi maar diye
Aur jo kuch zinda bache the, woh insaan ne kacche chaba diye
Jab poocha maine usse, ke tu haalat kyun nahi dekhe?
Aur woh bola, dekhne ka waqt tab gaya
Jab poocha maine usse, ke tu haalat kyun nahi dekhe?
Aur woh bola, dekhne ka waqt tab gaya
Gaon—gaon mein bijli, par hum andhere ki ore
Dabaaye gareebi ya dabaaye gareebon ko, bol
Zor aazmaaye kamzor ke aage
Aashiyaan, tujhe khud ki gehri kabar
Aadmi aaj bhi andha, na dekhe aaspaas
Samay door nahi, dikhega bas kaala aasmaan
Marti dharti hai, pratyaksh dhadakti aatma
Par insaan sirf check kare Instagram
Is vigyaan ki daud mein itna aage aa gaye
Ki shayad samay ab le kuch kadam peeche
Isse pehle ye kheenche inteqaam
Barse itne barson ka sabhi pe
Ye kar de bhasm teri har rasm—reet
Hone wale ant ke hum khud chashmadeed
Hum jis gaadi mein sawaar, woh bemanzil
Jisko bas mein karne chale, woh khud bus chaalak
Jab poocha maine usse, ke tu haalat kyun nahi dekhe?
Aur woh bola, dekhne ka waqt tab gaya
Jab poocha maine usse, ke tu haalat kyun nahi dekhe?
Aur woh bola, dekhne ka waqt tab gaya