LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Work

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Main gira, badha, apne pairon pe khada
Zimmedari ka bojh lekar un raahon pe chala
Jahan pehle bhi chala tha, par aage na badha
Mujhe bheed mein dhakela, par akela main lada

Ab nayi soch, naye iraade, nayi subah, naye woh vaade
Vaade jo tode the, aadhe chhode, kismat ke darwaze tode
Manzil lagi door, muzzil hue choor, par paana tha woh zaroor
Toh na ruka main, na jhuka main
Bheegi palken, par sukha main
Duniya se khafa, har dil se juda
Phir geet aur jeet ka bhookha main

Toh bheekh—bheekh na cheekh
Har bhool—chook se seekh
Har rok—tok ko bhool, khul ke jee, sneak to peak
Yahan har pal yun bichhata, aata
Har lamha tadpaata
Iklauta saathi saaya bhi andhere mein gum ho jaata

Phir fansa main kaanton mein, bata haalaton mein
Kata main, ghata si bachat se laakhon mein
Phal mila kadwa, khatta main daanton mein
Bhoolun main jab kalam mere haathon mein

I work till I die, I work, I work, I work till I die
Aye, I work till I die, I work, I work, I work till I die
Aye, I work till I die, I work, I work, I work till I die
Aye, I work till I die, I work, I work, aye

Mere kaanon mein har baat khatakti hai
Aaj tak ladti hai, soch meri logon ke vichaar se
Chadhti hai saans meri, badhti hai heartbeat
Chadhti hai aage badhne ki meri khaaj bhi, ab darti hai

Haan, akadti hai zindagi meri mujhse
Haan, vikarshee hai apni hi nazron mein
Kyun shaamil hua ghazlon mein?
Bejaan si lagti hai
Khamoshi mein bhi woh chillaa ke kehti hai
Tu haara, tu gira, tu bechaara
Teri kismat kharaab
Tu taqdeer ka maara

Par usko kya karna hai?
Mujhko khud ko hi ladna hai
Aage badhna hai, padhna hai
Kuch toh banna hai

Varna ye zindagi pooche kuch aise sawaal
Na koi maqsad, na koi jawaab
Kutton ki tarah bas saare bhonkte hain
Karte hain bawaal

Par shuru kiya toh ab guru bhi chhaantenge
Chor se chori ki cheezein chura denge
Likhe mere ab ye lafz hi gaa denge
Teekhe mere ab ye shabd hi kaatenge

I work till I die, I work, I work, I work till I die
Aye, I work till I die, I work, I work, I work till I die
Aye, I work till I die, I work, I work, I work till I die
Aye, I work till I die, I work, I work, aye

WRITERS

MAYANK RAWAT

PUBLISHERS

Lyrics © IPRS

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other