Milne tujhe main harr hafte 400 meel aur 7 ghantein Redbull ke nashon pe gaadi chalaun
Tu ghar aaye thak kar thodi udaas, tere boss ki... (nahi gaali nahi, gaali nahi)
Phir tere nakhron tere kisson teri adaon teri baaton aur teri muskurahaton mein main kho jaun
Tujhe chhukar, tujhe paakar, tere chehre ko sehlakar
Teri baahon mein khokar so jaun
Sach ho raha hai sapna mera
Duniya se ho raha main bekhabar
Duniya se ho raha main bekhabar
Khushboo teri chameli jaisi
Aankhein teri paheli jaisi
Hassti tu jo jahaan khil jaye
Tere saayein mein sukoon mil jaye
Tujhse shaadi karke main apni manzilein pa lunga aur iske saath hogi ek nayi shuruaat
Mere gaane aaye na aaye tere liye gata hi rahunga
Khush rakhunga tujhe chahe din ho ya raat
Phir yaad dilaun khud ko,
sach ho raha hai sapna mera
Duniya se ho raha main bekhabar
Duniya se ho raha main bekhabar
(Kyun, Tamil mein ho jaye ek baar?)
Indha boomi thaandi naan engo ponene
Indha boomi thaandi naan engo ponene
(Haan bhai koshish karne ke toh poore number hai, par accent par thodi mehnat ho sakti hai)