LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Badnaseeb (feat. Whoisksh)

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Ye zehen mera khoon maangta hai
Kaagaz meri kalam ka junoon maangta hai
Aake dekh meri jaan tere jaane ke baad
Mera dil hai jo abhi bhi sukoon maangta hai
Khair kya tu theek hai ya nahi
Zindagi se mili tujhe seekh hai ya nahi
And I know you're with a man now and maybe happy too
Par kya mujhse zyada tere wo azeez hai ya nahi
Tujhse pehle ladka tha tere baad mard hu
Aaj ko barbaad mere kar deta hai kal kyu
Haar ke mai tujhe jeet raha hu zamaane se
To tu hi bata jaana kya mai sahi me safal hu
All these feelings I don't talk about
Therapist ne bola mujhe Bhati you should write it down
Ab ye dukh tumhe kaise sunau
That I lost my father before I could even make him proud

Ye samay aage badh raha hai
Tu bhi aage badhna seekh
Jo ruka hua bss khada hai
Wohi to hai badnaseeb
Ye samay aage badh raha hai
Tu bhi aage badhna seekh
Jo ruka hua bss khada hai
Wohi to hai badnaseeb

Mai kitna hu akela aake studio me dekh
Meri khamiyon ki jagah meri khoobiyon ko dekh
Zimmedario ke chalte humne maare apne sapne
To inn khwabon ki udaan ke hum khooniyon ko dekh
Aur dekh ye bhi ke tere baad kaun hu mai
Tere naam ke zikar pe hota maun kyon hu mai
Aur waise to yun naam mera Eliya nahi hai
Par likha hai ye gaana jaise Jaun hu mai
Aur tu hi bata jaana ab kya bolu tere baare me
Mai jee raha hu zindagi bss yaadon ke sahare se
Ye soch ke mai dil ko apne deta hu tasalli
Ke wo kashti kisi din laut aayegi kinaare pe
Khair ab wo samay na raha
Tu meri na rahi aur mai tera na raha
Waise to zamane me deewane bohot saare hai
Par mere jaisa tujhe nahi milega yaha

Ye samay aage badh raha hai
Tu bhi aage badhna seekh
Jo ruka hua bss khada hai
Wo hi to hai badnaseeb
Ye samay aage badh raha hai
Tu bhi aage badhna seekh
Jo ruka hua bss khada hai
Wohi to hai badnaseeb

WRITERS

Yash Bhati

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other

From This Artist