Dil Le Gayi Tu Mera Baat Maan Meri Jaan
Subah Hoti Meri Tere Naam Se
Aur Shaam Hote Hote Tu Meri Hi Baahon Mein
Aa Ja Bas Ab Tu Na Sharma
Main Tera Aur Tu Meri Ab Rani Banja
Seedhe Seedhe Keh Raha Hoon Ki I Love You
Agar Maanegi Nahi Toh Mai Kal Tujhe Utha Raha Hoon
Kya Faayda Ghar Waale Pareshaan Hoje
Tujhe Idhar-udhar Dhoondhte Firte Unko Haalat Kharaab Ho
Mujhe Pyaar Hua Please Mujhe Jaane Do Jaane Do
Sath Chal De Saath Mere Chal De
Sath Chal De Saath Mere Chal De
Tu Rani Sapno Ki Jo Mili Haqeeqat Mein
Hua Dilon Ka Muqadma Aur Main Teri Hirasat Mein
Iss Raja Ki Rani Tu Banja Meri Jaan
Bas Teri Kami Hai Meri Viraasat Mein
Tune Di Jo Dastak Mera Hang Hai Mastak
Teri Chaal Hai Natkhat Tu Kamaal Hai Sach Mein
Kasam Se Teri Jaisi Dekhi Na Kahin Maine
Eklauti Tu Jispe Dil Hai Fida Mera
Dooba Hua in Aankhon Ke Nashe Mein
Chhaya Hua Hai Mujhpe Suroor Tera
Suroor Ye Khuda Ne Likhi Teri Meri Jodi
Puri Kaynaat Hume Milane Pe Hai Tuli Hui
Woh Kehti Rahi You Deserve Better Now
Lo Ji Uski Bhi Khwahishen Ab Saari Puri Hui