Ye Life Ek, Jiyo Aur Jeene Do
Ye Life Ek, Jiyo Aur Jeene Do
Aaj Hai Zindagi, Kal Ka Kya Pata
Kya Ye Naraazgi, Kyun Hona Hai Khafa
Beete Hue Palon Ko Main Karta Ab Yaad Nahi
Aisa Hai Kya Koi Jo Kare Maine Kaand Nahi
Isliye Rehta Aaj-kal Main Thoda Shaant Hi
Banda Padhne Ki Kala Hai Mere Paas Bhi
Tabhi Gairon Se Main Door Karta Baat Nahi
Rakha Kaam Se Kaam, Na Chahiye Jaan-pehchaan
Na Diya Kisi Pe Dhyaan, Na Diya Kisi Ko Gyaan
Main Khud Hairaan, Mera Khud Pe Ehsaan
Mera Ego Sabse Upar, Tabhi Taang Pe Taang
Seekhe Jeene Ke Tareeke Maine Khud Se
Baway, Life Nahi Bitaani Kabhi Dukh Mein
Insaan Bolta Sala Kal Hoga Mera
Bechara Jee Raha Hai Is Jhooth Mein
Ye Life Ek, Jiyo Aur Jeene Do
Ye Life Ek, Jiyo Aur Jeene Do
Kal Ke Waadon Pe Umeed Ko Maine Kaid Kiya
Neend Meri Aankhon Mein, Kaafi Time Se Main Soya Nahi Hua
Sach Sirf Ek Hi, Kal To Jaana Hi Hai
Kyuki Yeh Life Ak Bawe Khel Abhi Baki Bhi Hai
Dimaag Ki Batti Jale Tab To Samay Nikal Jaayega
Soch-soch Ke Pareshaan, Par Kabhi Hal Na Milega
Phir Koste Kismat Ko, To Sab Usi Ka Hai Dosh
Par Unko Kaun Samjhaaye, Ki Samay Ko Tumne Diya Chhod
Dil Maange More, Par Dimaag Kare Shor
Beta, Aise Nahi Chali Ye Duniya
Dil Maange More, Par Dimaag Kare Shor
Beta, Aise Nahi Chali Ye Duniya
Gaur Karne Waali Ye Koi Baat Nahi
Free-style Off-topic Song
To Shayad Kabhi Samajh Aayega Bhi Nahi
Insaan Ki Baat Ho Rahi To Insaan Hai Crazy
Aaj Ka Soch Aur Kal Ko Tu Bhula De, Bhai
Ye Life Ek, Jiyo Aur Jeene Do
Ye Life Ek, Jiyo Aur Jeene Do
Ye Life Ek, Jiyo Aur Jeene Do
Ye Life Ek, Jiyo Aur Jeene Do