Bachpan me kahaniya suna karte the
Ki sapno ke nagri me jo raaz chupe hai
Woh raaz humare bhavishya ke hi hai,
Isliye aaj bhi kahaa jaata hai
Pichle kuch dino me mai chand ghante hi soya hu
Kyuki mere sapne mujhe sone nahi dete
Kahi toh pahucha hu mai apne sapno me
Unn raaho me akele mai khadaaa
Lautu kaise, mai jo kho gayaa
Kaha chala mai na koi sang
This dream is crazy, I feel I'm done
Haa mere sapne barbaad hai
Ghayal kare sapne woh saath hai
Mere sapne jo sirf mere apne
Kyu sahu ab dard, mere sapno me raaz hai
Darr lage kayi sapne jo saath hai
Darr lage na ab koi aas hai
Kahaniya jo suni, lagta hai ab
Saare sapno se mujhe algaav hai
But here comes my time, might shoot up higher
I filtered my dreams, canvas seems lighter
Waqt hai, par darr bhi hai
Ki gir gaya toh, sapne toh hai
Shuruwato me, na mann lage
These Dreams amaze me but I'm far away
Aise bahut se sapne hai jisne mujhe jagaaye rakhe
Kuch khauf se bhare, kuch soch se pare
Kuch khushi se pagal kar gaye toh kuch gam aur aansu hi bhar gaye,
Par ek aisa bhi sapna hai jo mujhe zinda rakhta hai
Haa jis din maru, kuch aise kaamo ke saath upar jaau
Ki mera Khuda mujhe dekhkar kahe "Maksad pura hua"
Jaise Usne Kroos par kaha tha