100 Dinn lagataar, baitha socha mere dosh pe aur hosh mai na aaya (Khair)
Han tujhe dikhna hei tha, har baar iss tarah, chah ke dhund na paaya mai
Aur bura mai na maana, par kya pyara tha bahana
Aana na wapis gharwale bekhabar, mai rootha hei kyu
Ek daat ke baad thi sharab mere hath fir ye raat kch dost mere sath mera tode guroor
Dhue mei saalo saal khoya ye naqaab pehne
Pehchaana na khudko jab tiki nazare aayine pe
Badla na rukh kisi ka par padli rooh meri
Jab jaana bikta yaha pyaar chand paiso mei hei
Na kabhi socha tha likhunga koi nagma esa
Sunkar jise tu bole banda badnaseeb kesa
The bhare panne kch fursat mei tumhe mile jo kahi
le lena do pal ka sukoon padhkar tabtak h hum yahi