Dil ko mere tadpaate hain
neenden meri kyon udate hain
aankhon me bhi chubh jaate hain, dard ka ghar ban jaate hain
maane nahi samjhaate hain, nadaniyan doharaate hain
din se naaraz rehte, shamon se bhi khafa hain, raatein sitam si hain
Mujhe jagne de na sone de ye khaab
Mujhe tanha hi na hone de ye khaab
Mujhe jagne de na sone de ye khaab
Mujhe mera hi na hone de ye khaab
Kuchh to kami hai ye jeene me mere
main din me taare dhundhu raaton me sooraj maangu
Kuch na hi haasil hona hai mujhe
bas gardishon ka maara gham se panahen maangu
koi kahin to pukare raah me, khoya main khud se puchhun koi sada aaye kyon
raahen sabhi hai ojhal, manzil ka na pata hai..saansein bharam si hain..
Mujhe jagne de na sone de ye khaab
Mujhe tanha hi na hone de ye khaab
Mujhe jagne de na sone de ye khaab
Mujhe mera hi na hone de ye khaab