Tere kaano ko choomte gaano se
Par haare hum tere ehsaano se
Behtar hum door Sitaro se
Shamil zameen ke Sitaro mai
Aur maana hum duur Kinaaro se
Par doobe na kisse Kinaaro ke
Humko kabool ye Raate hain
Kasme bas Khudse Nibhate hai
Doobte Jaane de aur toot te Jaane de
Ilzaam de fir koi Saboot mitane ke
Doobte Jaane de aur choot te Jaane de
Buri Aadat talab bani mehfooz zamane se
Din main ye baato ke mele hain
Raato mai kitne akele hain
Raaho mai galtiya kehke bas
Kitne yah jismo se khele hain
Aakho mai chadhta andhera pan
Gairo ke saaye ab Ghere hai
Sajis hai lagti andhera jab
Raaho mai chalte akele hain