Kahani batate ye bas meri sun ker
2 takkay pe khulne walw mun ko tu band ker
Ye shayeri gehri ye khoon me meri
Ye kala he meri jo dikhti sunehri
Samander ki leharen kab kis se hen tehri
Apne mizaj ki ada her sunehri
Me jeeta ni fehmi me ye hen ghalat fehmi me
Meri baaten hui band ab lafzo ko kehne de
Aasteen k sanpo ko aasteem me rehne de
Ye marenge khud kaat he zeher itna seene me
Lafzo se khelun me lafzo se me hun me
Ruswai mili he apno ke pehro me
Raaten andheri ab aatay savere hen
Andhero se barhker roshan andhere hen
Baaten jo kerte bas unko tu kehne de
Apne khuda ko dil me tu rehne de
Lahasil se raaten ab hasil wo waqe
Ham lafzo se kaghaz pe kashti banate
He surkh siyahi lahoo ham bahate
Ham likhne jo bethen to kaghaz jalate
Ye londay mujhe ban k dikhate hen shaitan
In bacho ko batao demigod mera naam
Tu aakay mere pair choo dar mat jaan
Hindi me mujhe maan tu aadha bhagwan
Chote me hun demigod wo bhi modern desi game ka
Aanay ko yaha tak ghisa mene pen tha
Tab jaakay mujhe mila ye maqaam
Doosre mulko se bhi log thokte salaam
Baat karun kam zayada kaam pe dhiyan
Me bohemia junior bolun saray aam
Pasand mujhe aam per me londa nahi aam
Bera me hun darkseid or tum tehre shaktiman
Ye jese ben10 in ke dass roop yar
Me jese vilgax karun inka shikaar
Na hi mere pas fame na hi dolat beshumar
Beta yahi hoti asli hustler ki pehchan
Zamana bole jaali per me munh pe duin gaali
Ghused dun teri akad me sari ki saari
Me likhta yaha sach or dunya me makkari
Aakay dekh mere lafzo ki kalakaari