Tum se hi har din hua savera
Tum se hi har ik raat dhali hai
Tum se hi hai jo vajood mera
Tum se hi meri baat chali hai
Hokar chand raha karte they
Jaisa log kaha karte they
Jaisa log kaha karte they
Jaisa log kaha karte they
Jisko paaya hai, usko khoya hai, apna luck aisa raha
Har wafa mein bas, har sila mein bas, ghate ka sauda raha

Saansen jogan, mann banjara, chalna jeevan pada hai saara
Naa rasta, na murshid mera, gher khada hai jangal saara
Gher khada hai jangal saara
Khud par ek bharosa bhi tha jab tum saath raha karte they
Kya tum waise hi nikloge jaisa log kaha karte they

Jag ki mannat, rahi salamat, mann ka khaali bharam hai toota
Jo saath aaya, bana jo saathi, usee ne mauka paake loota
Usee ne mauka paake loota
Ishaq hamara misaal hoga kah kar door hua karte they