Pehli dafa jab tum mujhse milne aaye the
Jaebon mein haath bhar ke jazbaat laaye the
Kal ki yaadon ko humne kal he mein taanga tha
Guzra hua waqt humne kal mein na maanga tha
Kaandhe pe basta liye mujhse milne aaye the
Baste mein jee bhar ke tum khwaab laaye the
Khwaabon ko haathon se aasmaan pe rakha tha
Raaton ko phir jaag ke he inko he taaka tha
Khwaabon ke choore meri aankhon mein he ab chubhte hain
Jazbaat ab kahan is sookhi zameen pe ugte hain
Par tera sheher gulabi sufaed phoolon se bhara hai
Har or barf ki chaadar aur tu chuhle ke bagal mein pada hai
Ik dafa mujhse milne aa jao
Kuch na lao tum khud aa jao
Baahon mein na sahi aankhon mein bhar loonga
Us ek lamhe mein main phir umar he ko tar loonga
Ik dafa mujhse milne aa jao
Kuch na lao tum khud aa jao
Kuch na lao tum khud aa jao