Kaise bhool sakta hoon main,
Bachpan ke wo din sunahre,
Mujhe kuch bhi pata na tha,
Raaste kahan le jayenge aage mere.
Dar ka naam nahi tha kahin,
Zindagi ki kadvi raahon se,
Tab pehchaan nahi thi sahi.
Man mein the hazaaron sawaal,
Aaj wahi jawaab jee raha hoon,
Kaise bhool sakta hoon main,
Bachpan ke wo din purane,
Na chinta thi, na fikr koi,
Bas apne the sab afsaane.
Khushi bhi waisi nahi milti,
Sochta hoon baar-baar main,
Kaash laut paata us daur mein,
Jahan hansi thi sacchi apni,
Na dar tha kisi shor mein.
School ki wo subahein yaad hain,
Doston ki wo baatein khaas,
Kabhi-kabhi dil kehta hai,
Ek din aasman chhoona hai,
Sapno ko sach banana hai,
Jo vaade adhoore reh gaye,
Unhe poora kar dikhana hai.
Kaise bhool sakta hoon main,
Bachpan ke wo din suhaane,
Dil mein hain wo taraane.
Zindagi aasaan nahi hoti,
Ye ab samajh mein aaya hai,
Har jawaab khud banna padta,
Mehnat karta ja raha hoon,
Apne aane wale kal ke liye,
Diary mein sapne likhta hoon,
Apne behtar bhavishya ke liye.
Haan... main likh raha hoon,
Haan... main badh raha hoon.